Add Poetry

Siskian

Poet: By: Ahmad, dubai

Yeh Aa Rahi Kahaan Say Lahu Main Risti Aawazain
Yeh Kahaan Say Uth Rahay Hain Nafraton Kay Sholay
Kaun Day Raha Hai Taal Golion Ki
Yeh Maut Ka Taandav Kahaan Ho Raha Hai?

Haan Jung Ho Rahi Hai
Ab Us Taraf Hai Kal Is Taraf Hai
Kisi Ka Ahud Dagmagya To Jung Hai
Kisi Ko Mazhab Yaad Aayaa To Jung Hai

Har Aur Uth Raha Hai Wehshat Ka Dhoonan Sa
Insaan Bhatak Raha Hai Ki Jaisay Ho Bika Sa
Qeemat Aadmiyut Ki Lapata Hi Ho Gayi Hai
Yaad-E-Masrrat Bhi Shayad Ashqon Main Kho Gayi Hai

Paanion Pay Tairti Laashon Ki Kulbulahut
Nangi Chation Pay Zulm Ki Chaapain
Kuch Na Dekhti Hui Aankhon Kay Samndar
Kiso Bulaty Hain……………………?

Kisko Bulaata Hai Tutay Jismon Ka Shor
Kisko Bulaata Hai Wehshat Ka Yeh Daur?

Kub Bun Paya Adam Aadmi
Azal Say Liyay Hai Qatl Ki Tashnghi
Sadion Say Fitrat-E-Insan Ka Yeh Rung
Kahani-E-Adam Rahi
Bus Nafrat Ki Jung

Kab Tak Rehayga Aakhir Daur-E-Wehshat-E-Insaan
Kab Tak Rahayga Aakhir Insaan Say Juda Insaan
Gulshan-E-Ahsaas Aabaad Hoga Aakhir Kub?

Rate it:
Views: 429
24 Jan, 2009
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets