Suna Hai Log Ussay
Poet: FARAZ By: Engr. Hassni, KarachiSuna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain
So Us Ke Shehar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharaab Haloon Se
So Apne Aap Ko Barbaad Kar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Dard Ki Ghaahak Hai Chashm-E-Naaz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Se Guzar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ko Bhi Hai Shair-O-Shaeri Se Shaguf
So Hum Bhi Moujazzay Apne Hunar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Bolay Tu Batoon Se Phool Jhartay Hain
Yeh Baat Hai Tu Chalo Baat Kar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Raat Ussay Chaand Takta Rehta Hai
Sitaaray Baam-E-Falak Se Uttar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Din Ko Ussay Titleyaan Sataati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Thehar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Hashar Hain Us Ki Ghazaal Si Ankhain
Suna Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Raat Se Barh Kar Hain Kaaklain Us Ki
Suna Hai Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ki Seyaah Chashmagi Qayaamat Hai
So Us Ki Surma Farosh Aah Bhar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ke Laboon Se Gulaab Jaltay Hain
So Hum Bahaar Pe Ilzaam Dhar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Aaenaa Tamsaal Hai Jabeen Us Ki
Jo Saada Dil Hain Ussay Ban Sanwar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Jab Se Hamaayal Hain Us Ki Gardan Mein
Mizaaj Aur Hi Laalo-Gohar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Chashm-E-Tassavur Se Dasht-E-Imkaan Mein
Pallang Zaweyey Us Ki Kamar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ke Badan Ki Taarash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qubaayain Qattar Ke Dekhtay Hain
Bas Ek Nigaah Se Lut’ta Hai Qaafila Dil Ka
So Reharwaan-E-Tamanna Bhi Dar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ke Shabistaan Se Muttasil Hai Behisht
Makeen Idhar Ke Bhi Jalway Udhar Ke Bhi Dekhtay Hain
Rukay Tu Gardishain Us Ka Tawwaaf Karti Hain
Chalay Tu Us Ko Zamaany Thehar Ke Dekhtay Hain
وہ تو وقت گزاری کے لئے آ جایا کرتے ہیں۔
ہم نے تو اُن کی یاد میں پلکیں سجا رکھی تھیں مگر
وہ خواب میں بھی اکثر روٹھ کر چلے جایا کرتے ہیں۔
دل کے چراغ ہم نے بڑی چاہ سے جلائے
وہ بے رخی کی ہوا سے بجھا جایا کرتے ہیں۔
اک ہم کہ ان کے نام پہ دنیا لٹا چکے ہیں
اک وہ کہ جنہیں ہم فرصتوں میں یاد آیا کرتے ہیں۔
محفل میں غیر لوگوں کو سینے سے وہ لگا کر
مظہرؔ کو دور رہنے کا سمجھایا کرتے ہیں۔
ہر بار ٹوٹ کر بھی یہی سوچتے ہیں مظہرؔ
شاید وہ اب کی بار وفا کو نبھایا کرتے ہیں۔
جن کو سمجھ لیا تھا مقدر کی روشنی ہم نے
وہ دل میں تیرگی کا دھواں چھایا کرتے ہیں۔
ہم رازِ دل سنائیں تو ہنستے ہیں لوگ سارے
وہ زخمِ دل مگر زمانے سے چھپایا کرتے ہیں۔
مظہرؔ عجیب لوگ ہیں اس شہرِ بے مروّت کے
چہرے کی مسکراہٹ سے جو دل آزمایا کرتے ہیں۔
ہم نے تو عمر رکھ دی تھی ان کی چاہت پر
وہ نامِ وفا لے کے یوں ہی ہمیں بہلایا کرتے ہیں۔
دل کو یقین تھا کہ وہ اپنے ہی رہیں گے
دل کو مگر ہر بار وہ ہمیشہ جھٹلایا کرتے ہیں۔
ہم زخم چھپاتے ہیں زمانے کی نظر سے
وہ زخمِ جگر اور بھی گہرا لگایا کرتے ہیں۔
محفل میں ملا کرتے ہیں اپنوں کی طرح وہ
تنہائی میں احساس مگر کھایا کرتے ہیں۔
اک ہم ہیں کہ ہر بات کو دل سے ہی لگائیں
اک وہ ہیں کہ ہر بات پہ مسکایا کرتے ہیں۔
جس روز سے دیکھا ہے بدلتے ہوئے اُن کو
آئینے بھی اب ہم سے نظریں چرایا کرتے ہیں۔
مظہرؔ یہ محبت بھی عجب قرض ہے ایسا
ہم جان لٹاتے ہیں، وہ ٹھکرایا کرتے ہیں۔
سو بار بھلانے کی قسم کھائی تھی دل نے
سو بار وہی یاد چلے آیا کرتے ہیں۔
دل چیخ اُٹھے، آنکھ مگر اشک نہ برسائے
کچھ درد بھی تہذیب سے تڑپایا کرتے ہیں۔
مظہرؔ نہ سمجھ پائے محبت کا تقاضا
جو لوگ بچھڑ جاتے ہیں، یاد آیا کرتے ہیں۔






