Suna He Parhta Tha IBLEES Bhi Namaaz Buhat

PoetSmile Pain Submitted bySmile Pain
Text size

Haqiqato`N Pe He Duniya Ko Aiteraaz Buhat
K He Mizaaj E Zamana, Fasana Saaz Buhat

Tera Gharoor E Ebadat Tujhey Na Le Doobey
Suna He Parhta Tha IBLEES Bhi Namaaz Buhat

Ye Keh Rahy Thy Kal Awargaan E Koocha E Yaar
Adaayein Aaj Bhi Hen Uski Dilnawaaz Buhat

Unhein Shaoor E Muhabat Nhi Khuda Ki Qasam
Jo Log Hen Teri Mehfil Men Sarfaraaz Buhat

Meri Khushi Ka Zamana Hawa Ka Jhonka Tha
Mery Ghamo Ki Rhi Zindagi Daraaz Buhat

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied