Suno Ae Chaand C Lerki

PoetWaqas Bhutt Submitted byWaqas Bhutt
Text size

Suno Ae Chaand C Larki
Abhi Tum Keh Rahi Thi Na

Tumhain Mujh Se Muhubbat Ho Nahi Sakti
Chalo Mana K Yeh Suchhai

Magar Ae Chaand C Lerki
Mujhe Itna Batao Tum

K Jub Mosam Badalte Hain
Gulon Main Rang Bharte Hain

To Phir Kyun Muztarib Ho Kar
Akele Pan Se Ghabra Kar

Hawa Ko Raaz Deti Ho
Mujhe Awaaz Deti Ho
Suno Ae Chaand C Lerki

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied