Mujhe Buhut Dar Lagta Hai
Sabhi Rishtay Natoon Se Dar Lagta Hai
Jab Kabhi Raat K Akheer Pehr Main
Aankh Jo Yak Dam Khulti Hai
Mujhe Apna Hee Bistar Weshatoon Ka Ghar Lagta Hai
Mujhe Dar Lagta Hai Sabhi Un Badalte Dinoon Se
Mujhe Din Aur Ye Rat Se Dar Lagta Hai
Dar Lagta Hai Mujhe Duniya Ki Shadabiyun Se
Ab Tu Har Aane Wale Kal Aur Pal Se Dar Lagta Hai
Mujhe Apni Zat Apne Sifat Se Dar Lagta Hai
Tere Diye Huey Sabhi Alqabat Se Dar Lagta Hai
Tujhse Jurri Har Har Bat Se Dar Lagta Hai
Dar Lagta Hai Mujhe Apne Hee Angan Main
Mujhe Mere Naam K Alfaz Se Dar Lagta Hai
Tujhe Pata Tu Tha K Main Aisa Nahi Hoon
Mujhe Meri Tanhai Se Dar Lagta Hai
Yaad Kar Wo Judai K Akhri Sahbdoon Ko
Main Jabaja Yehi Kehta Ja Raha Tha
Sunu Mujhe Dar Lagta Hai
Mujhe Buhut Dar Lagta Hai