Add Poetry

Ta'abeer Bhi, Taskheer Bhi, Ta'ameer Bhi Tha!!!

Poet: S. Sadia amber jilani By: Syeda sadia amber jilani, Faisalabad, Punjab, Pakistan.

Ta'abeer Bhi Taskheer Bhi Ta'ameer Bhi Tha
Woh Shakas Meri Nighahun Ki Tasveer Bhi Tha

Kabhi Tafseel Tha Meri Hayaat Ki Woh
Ankhon Mein Likhi Kabhi Tehreer Bhi Tha

Mujh Say Hi Naa Nibha Paya Rasm-E-Wafaa Woh
Youn Tu Jazbat Ki Ik Tafseer Bhi Tha

Gawara Thi Kissay Iss Rah Pay Ruswai Uss Ki
Ussay Maloom Nahi Shayed Woh Meri Tukeer Bhi Tha

Uss Ki Jeet Mein Fakat Uss Ka Kamal Kaha'n
Diwana Tha Uss Ka Koi Aseer Bhi Tha

Wohi Be-Khuab Kar Giya Aankhen Meri
Meray Har Khuab Ki Jo Ta'abeer Bhi Tha

Kuch Talkhi-E-Dora'n Ka Bhi Dosh Tha Amber
Meray Ushaar Ki Kuch Ishq Taseer Bhi Tha

Rate it:
Views: 334
14 Mar, 2017
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets