Add Poetry

Tha Rom Rom Phirta, Yahin Muqeem Tha

Poet: RAZAB By: junaid Ellahi, multan

Tha Rom Rom Phirta, Yahin Muqeem Tha
Ba Silsila e Marz, Mera ! ik Hakeem Tha

Sahulaton me Apni, Udhairr kar Mujhe
Mere Dard ka Jolaha, Ajab ! Rajeem Tha

Jo ! Apni Munsifi me, Deewana Waar Aaya
Mehak me Wo Pasina ! Naaf e Shameem Tha

Kal Main ne is se Qasdan ! Koi Guftgu Nahi ki
Ye GoOnga Mah e Kamil, Kal Khud Qaleem Tha

Furqat ki Parwarish me, Sare Sawab RoOthe
Kehne ko Ye iraDa, Be'shak ! Naeem Tha

Abru k Tanao me, Jo Taza Surkhiyan Theen
Ye ! Hasrat e Nihaan ka, Wahid Zameem Tha

Har Fard e Jurm Sun k, Dil Apni Fitraton me
Tha Sheer'Khwaar Bacha ! Kamil Saleem Tha

Jo Hum Smjh Na Paey, To ! Apni Bad Nasibi
Ye Falsafa e Ulfat, Wese ! Azeem Tha

Namkeen Kawishon se, Badan k Baghbaan me
Jo PhoOl Bhi Khila Tha, Wohi Adeem Tha

RAZAB ye Almiya Tha, Us Be' Sar o Saman ka
Habeeb Tha Jo Sub ka, Lekin Yateem Tha

Rate it:
Views: 401
19 Jan, 2013
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets