These Word About My Father
Poet: falak a gumnaam By: rehan gaziani, karachiMera Bachpan Mera Piyaar Mujhey Loata Dey 
 Mera Baap Mera Yaaar Mujhey Loata Dey
 
 Jis Ki Dua O Main Hai Meri Zindaghi Ki Khusiyan
 Khushiyon Ka Woh Shahkar Mujhey Loata Dey
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 Jis K Piyaar Sey Khila Rehta Tha Main Har Dam 
 Piyaar Ka Woh Ambaar Mujhey Loata Dey
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 Dil Udaas Rehta Hai Jis K Ghum Main Har Dum
 Woh Dilbar O Dildaar Mujhey Loata Dey
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 Her Musibat Main Jo Kaam Aaya Hai Meri
 Woh Hamderd O Ghum Khuwaar Mujhey Loata Dey
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 Jis K Saye Main Milta Tha Sukoon Mujh Ko 
 Woh Shajera A Sayadaar Mujhey Loata Dey 
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 Jis Ney Shaan Sey Hai Jeena Sikhaya Mujh Ko
 Woh Rehber A Dumdaar Mujhey Loata Dey
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 Jis Ki Awaaz Sey Milta Tha Merey Dil Ko Sukoon
 Woh Taskeen A Dil Awaaz 1 Baar Phir Mujhey Loata Dey
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 Jis K Her Faisley Ney Badli Hai Zindaghi Meri
 Woh Haakim A Danaar Mujhey Loata Dey 
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey 
 
 Jis Ney Paal Kar Mujhey Hai Is Maqaam Tak Pohonchaya 
 Woh Azeem Palanhaar Mujhey Loata Dey 
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 A Rab A Falak Wasta Hai Tujh Ko Piyaarey Nabi Ka (Sallallaho Alaihi Wasallam)
 Khudara Meri Chhut Dar O Deewar Mujhey Loata Dey 
 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey
 
 Mera Bachpan Mera Piyaar Mujhey Loata Dey 
 Mera Baap Mera Yaar Mujhey Loata Dey






