Tum Chale Jaaoge Dil Mai Bekali Reh Jaayegi
Bas Tasavvur Mai Humari Zindagi Reh Jaayegi
Aankh Sehra Mai Tahar Ke Dafan Ho Jaayegi Pr
Aankh Ke Pairon Tale To Ek Nami Reh Jaayegi
Raat Bhar Jalte Charagon Ka Gila Beshaq Na Ho
Din Hua To Lo Main Thodi Roshni Reh Jaayegi
Dekhne Waale Tamasha Dekh Kar Chale Jaayenge
Phir Tamashai Ke Ghar Me Teergi Reh Jaayegi
Masjidon Se Jab Ye Aalim Ghar Talak Aa Jaayenge
Tab Kahin Koochon Mai Ek Aawargi Reh Jaayegi
Kis Khushi Se Chodkar Aaya Tha Apna Gaon Main
Kya Khabar Thi Saath Mai Sanjidghi Reh Jaayegi
Haath Malne Se Kabhi Bhi Hal Na Honge Maslay
Ye Hi Gar Aalam Raha To Bechehrgi Reh Jaayegi
Aaina Jab Saamne Aaya To Dekha Ye Gaya
Is Tarah To Saaye Mai Bhi Kuch Kami Reh Jaayegi
Saahilon Pe Bethkar Hasil Na Hoga Kuch Tumhen
Gar Bhawar Mai Na Gaye To Tishnagi Reh Jaayegi
"ShamS" Himmat Kar Agar Karna Hai Hasil Kuch Tujhe
Warna Gham Mil Jaayenge Aur Khushi Reh Jaayegi