Add Poetry

Turak-E-Tualuk Mein Pass-E-Nibha Hi Kary Len

Poet: S. Sadia Amber Jilani By: SyedaSadia Amber Jilani, FaisalAbad, Punjab,Pakistan.

Turak-E-Tualok Mein Pass-E-Nibha Hi Kar Len
Yaad Koi Hum Ramas-E-Wafaa Hi Kar Len

Umer Bhar Rahen Naa Tuakob Mein Kahen
Wajib Hain Jo Farz Adaa Hi Kar Len

Mizaj Un Ka Bhi Musam Ki Tarah Hai
Chahen Jiss Ko Muajb-E-Saza Hi Kar Len

Mill K Nikalen Q Naa Hal Iss Ka
Dard Apnay Ki Hum Dawa Hi Kar Len

Gira Dalen Q Naa Aanao'n Ki Faseelen
Aur Bohat Ik Aur Khata Hi Kar Len

Jis Rozz Hun Shamil Hum Teray Dast-E-Dua Mein
Uss Rozz Tujhay Apna Bakhuda Hi Kar Len

La-Tualok Itnay Bhi Nahi Tum Say
Khud Ko Tum Say Jo Judda Hi Kar Len

Talash Mein Hain Kisi Makbool Lamhy Ki Amber
Mustajab Hum Apni Ik Dua Hi Kar Len

Rate it:
Views: 395
04 Jun, 2016
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets