Add Poetry

Ujaarr Kar Kisi Ko Basti Basatay Nahi

Poet: S. Sadia amber jilani By: Syeda sadia amber jilani, FaisalAbad, Punjab, Pakistan

Ujaarr Kar Kisi Ko Basti Basatay Nahi
Kachi Diwaaro'n Pay Ghar Banatay Nahi

Makafat-E-Amal Ka Hai Dastoor Jari
Chahnay Walo'n Ko Apnay Rulatay Nahi

Routh Jaen Naa Khuab Tumharay Kahee'n
Udaas Logon Pay Youn Muskuratay Nahi

Be-Rukhi Bhi Suno Itni Achi Nahi
Be-Taab Nazro'n Ko Itna Sataatay Nahi

Saath Chalay Do Qadam Jo Chorr Ja'aye Humen
Chehray Hum Woh Kabhi Bhoolatay Nahi

Piyma To Bohat Kartay Hain Magar
Wakat Par Log Koi Nibhatay Nahi

Tum Tu Tum Ho Tumhen Bhool Jaen Kaisay
Hum Tu Batkay Parindo'n Ko Urratay Nahi

Kat Naa Ja'aye Umer Youn Hi Kahee'n
Tum Tu Baat Koi Banatay Nahi

Maang Len Gay Kisi Roz Rab Say Tumhen
Sitaaray Qismat K Jo Millatay Nahi

Thaam Kar Haath Safar Mein Amber
Dushwaar Rasto'n Pay Chorr Jaatay Nahi
 

Rate it:
Views: 486
02 Jan, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets