Dikhti Ai Kash Thandi Hawa Jo Dikh Jati
Nazar Mai Isko Apni To Mai Utaar Leti
Waqt Ki Garmi Ne Aghair Liya Tha Jab
Samne Isko Mai Apne Ubhar Leti
Yeh Hawa Jo Thande Badal Hi Kuch Chor Jati
In Badlon Se Kuch Mai Pani Udhar Leti
Waqt-E-Garam Tawalat Ka Tha Akhri Paimana
Itna Bhi To Na Chora K Lutfe Bahar Leti
Bachne Ka To Bas Ik Hi Tha Reh Gaya Tareeqa
K Barf Ban Jati Badle Hazar Leti
Har Ik Sans Ka Bharosa Har Ek Sans Mai Tha Tuta
Lamha Bhi Na Mila K Ghubar Jhar Leti
Ik Sans Hi Bachi Thi Tanhaiyon Ki Sathi
Jo Ah Banti Jati Mai Bar Bar Leti