Add Poetry

Umeed Or Aik Dua

Poet: Asma Jalil By: shaista Idrees, lahore

Rawish Rawish Pey Hai Aik Siski
Qadam Qadam Pey Hai Khauf Koi
Faza Main Aahon Ke Goonj Hai Ab
Kaduratun Ke Hai Ek Tamazut
Nafratoon Ke Sulgati Jalti Se Wadion Se
Hawa Bhi Baad E Samoom Ban Key Guzar Rahi
Key Jis Sey Ghunchey Muhabbatoon Ke Jhulas Gayey
Hain Har Eik Su Wosakkot Jis Main
Hai Sirf Patton Ke Sarsarahat
Sunatee Hai Jo Payam E Nafrat
Ya Phir Wo Cheekhein Hain
Jin Sa Aalam Laraz Raha Hai
Nagar Main Phala Hua Sanata Yeh Kah Raha Hai
Yahan Muhabbat Ki Ab Koi Sada Nahi Hai
Andhair Ratoon Key Peechey Koi Subha Nahi
Nafratoon Ki Tughyaanion Main
Kashti Jewan Ki Ghir Gayee Hai
Aik Gardaab Main Phans Gaye Hai
Muhabbatoo Ka Jo Baadban Hai Shikasta Tar
Yeh Karwann Kis Dagr Main Aakhir Bhatak Raha Hai.
Aey Kash Dil Main Koi Umang O Naveed Jaagey
Phatey Howey Isi Baadban Sey Miley Sahara
Chalo Hum Aisey Nagar Ki Janib Barhain
Jahan Par Aman Kikhushboo Rachi Ho Har Su
Goonjti Bas Hansi Ho Har Su
Roshni Ho Salamti Ki
Chandni Ho Muhabatoon Ki

Here Is A Poem Written By A Teacher Of Communication Studies Named Miss Asma Jalil During Her Student Life. The Poem Reflects Today’s Situation Of Our Country. May ALLAH Bless Our Country (Pakistan) Ameen.

Rate it:
Views: 526
23 Oct, 2009
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets