Add Poetry

Uska Mera, Mera Uska

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Uska Mera Mera Uska
Bas Itna Sa Rishta Tha
Wo Bhi Mujhpe Marti Thi
Main Bhi Uspe Marta Tha

Kuch Uski Baatein Jaadoo Thi
Kuch Main Bhi Sach Sach Kehta Tha

Kuch Uski Aankhein Kehti Thin
Kuch Meri Aankhein Padhti Thin

Kuch Wo Bhi Soondar Dikhti Thi
Kuch Main Bhi Achcha Likhta Tha

Wo Mere Khaab Sajati Thi
Main Uske Khaab Sajata Tha

Uska Mera Mera Uska
Bas Itna Sa Rishta Tha
Wo Bhi Mujhpe Marti Thi
Main Bhi Uspe Marta Tha

Hum Dono Mai Ek Khoobi Thi

K Wo Aksar Rutha Karti Thi
Main Aksar Use Manata Tha

Wo Aksar Nakhrey Karti Thi
Main Aksar Naaz Uthata Tha

Jo Main Kehta Wo Sunti Thi
Jo Wo Kehti Main Karta Tha

Uska Mera Mera Uska
Bas Itna Sa Rishta Tha
Wo Bhi Mujhpe Marti Thi
Main Bhi Uspe Marta Tha

Hum They Shayad Ek Dooje Ke
Par Ek Dooje K Ho Na Sake

Hum Mil-Baat Kar Hasey Bohat
Par Hum Mil-Julkar Ro Na Sake

Jo Kasamey Humne Khaai Thin
Wo Kasamey Saari Toot Gayi

Main Bhi Usse Rooth Gaya
Wo Bhi Mujhe Rooth Gayi

Jo Saath Mai Dekha Tha Sapna
Wo Sheesha Nikla Toot Gaya

Uska Mera Mera Uska
Bas Itna Sa Rishta Tha
Wo Bhi Mujhpe Marti Thi
Main Bhi Uspe Marta Tha

Na Uski Koi Galti Thi
Na Mera Hi Koi Dosh Raha

Thodi Wo Bhi Behosh Rahi
Aur Mujhko Bhi Na Hosh Raha

Hum Apna Apna Dil Lekar
Apne Apne Ghar Aa Bethey

Wo Ghar Ki Izzat Rakhti Rahi
Hum Ghar Ka Farz Nibha Bethey

Ab Uski Apni Duniya Hai
Ab Mere Apne Sapne Hain

Par Ye Bhi Sach Hai Sach Ki Tarha
K Na Wo Mujhko Bhooli Hai
Aur Na Main Usko Bhoola Hun


Uska Mera Mera Uska
Bas Itna Sa Rishta Tha
Wo Bhi Mujhpe Marti Thi
Main Bhi Uspe Marta Tha

Uska Mera Mera Uska
Bas Itna Sa Rishta Tha
Wo Bhi Mujhpe Marti Thi
Main Bhi Uspe Marta Tha.
 

Rate it:
Views: 545
11 Jul, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets