Add Poetry

Wo Jo Ab Milegi

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Wo Jo Ab Milegi Mujhse Mujhe Yakeen HaiLaga K Seene Se Ro Padegi
Usey Yaad Aayengi Meri WafaaeinBaha K Aansoo Wo Ro Padegi

Udaas Chehre Pe Muskurahat Ki Shokhiyon Ka Libaas Hoga
Kara Kya Humne Kara Kya Tumne Yaha Ye Hi Sab Hisaab Hoga

Bata K Wo Apni Aap-Beeti Meri Sunegi Aur Ro Padegi
Usey Yaad Aayengi Meri Wafaaein Baha K Aansoo Wo Ro Padegi

Zara Si Sharm-O-Haya Ka PardaNazar Mai Phir Se Ubhar Padega
Wo Soch Mai Beth Jaayegi Jab Mere Khaton Ki Khabar Padega

Jo Gour Karke Padegi Khat Wo Lahoo Ko Dekhegi Ro Padegi
Usey Yaad Aayengi Meri WafaaeinBaha K Aansoo Wo Ro Padegi

Lipat K Mere Badan Se Mujhko Sunaayegi Sab Puraani Baatein
Bashar Ki Kis Kis Tarha Se Maine Udaasiyon Ki Puraani Raatein

Yakeen Hai Mujhko Tadapte Dil Ki Sada Sunegi Aur Ro Padegi
Usey Yaad Aayengi Meri Wafaaein Baha K Aansoo Wo Ro Padegi

Na Zakham Usko Dikhaaunga Main Jo Maine Hi Mujhko De Diye They
Padey Hain Youn Paaon Mai Chaale Usey Hi Hum Dhoondne Jab Chale They

Wo Mere Zakhmon Ki Jab Dawa-E-Dawa Karegi To Ro Padegi
Usey Yaad Aayengi Meri Wafaaein Baha K Aabsoo Wo Ro Padegi

Wo Jo Ab Milegi Mujhse Mujhe Yakeen Hai Laga K Seene Se Ro Padegi
Usey Yaad Aayengi Meri Wafaaein Baha K Aansoo Wo Ro Padegi.
 

Rate it:
Views: 346
11 Jul, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets