Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhaley Chheen Lo Mujhse Merii Javaanii
Magar Mujhko Lautaado Bachpan Ka Saawan
Wo Kaaghaz Ki Kashti, Wo Baarish Ka Paanii
Muhalley Ki Sabse Puraani Nishaani
Wo Budhiyaa Jisey Bachchey Kehtey They Naanii
Wo Naanii Ki Baaton Mein Pariyon Ka Dheraa
Wo Chehrey Ki Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Pheraa
Bhulaaye Nahin Bhool Saktaa Hai Koi
Wo Chhoti Si Raaten Wo Lambii Kahaani
Wo Kaaghaz Ki Kashti.......................
Kadee Dhoop Mein Apnae Ghar Se Nikalnaa
Wo Chidiyaa Wo Bulbul Wo Titlii Pakadnaa
Wo Gudiyaa Ki Shaadi Mein Ladnaa Jhagadnaa
Wo Jhoolon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalnaa
Wo Peetal Ke Chhallon Ke Pyaare Se Tohfey
Wo Tootii Hui Choodiyon Kii Nishaanii
Wo Kaaghaz Ki Kashti......................
Kabhi Ret Ke Unchey Teelon Pe Jaanaa
Gharaundey Banaanaa Banaake Mitaanaa
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apani
Wo Khwaabon Khilaunon Ki Jaageer Apani
Na Duniyaa Ka Gham Thaa Na Rishton Ke Bandhan
Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindagaanii
Wo Kaaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Paanii
Wo Kaaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Paanii