Woh Janti Thi K
Poet: sani By: m abbas, RaiwindWoh Janti Thi K Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabbaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
Woh Janti Thi Muhabbat Dukhon Ka Sehraa Hai
Jahan Seraab Si Khushiyan Hain Aur Azaab Se Ghum
Jahan Hai Pyaas Judai Ki Betahasha Magar
Millan Ki Barishein Hoti Hain Jis Dyar Main Kam
Woh Janti Thi Muhabbat Khiraaj Mangti Hai
Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo De K Jagmagaya Ho
Andheri Rah K Liye Woh Chiragh Mangti Hai
Woh Janti Thi Muhabbat Woh Reguzar Hai Jahan
Biche Hain Kaanch Judai K Beshumaar Magar
Brehna Pair Hi Inhein Paar Kerna Perta Hai
Ghumon Ki Dhoop Main Ab Saibaan Koi Na Ho
Kisi Yaad Ki Chadar Ko Taan Ker Khud Per
Tammam Aahein Daba Ker Guzarna Perta Hai
Woh Janti Thi K Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Mohabbat Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
Hijar Ki Rah Main Hoti Hai Betahasha Ghutan
Wahan Kabhi Bhi Hawa Ka Guzar Nahi Hota
Woh Janti Thi Phir Bhi Rog Le Bethi
Kisi K Pyar Main Na Jane Kyun Jog Le Bethi
تم ہم سے منانے کی بات کیوں کرتے ہو
ہم یونہی پیار کر لیتے ہیں تمھیں
ہمیں تڑپانے کی بات کیوں کرتے ہو
اس بے رخی میں کتنی محبت ہے چھپی
پیار ہے پھر ترسانے کی بات کیوں کرتے ہو
باتیں ساری تم سے وابستہ اچھی لگتی ہیں
کیوں نہیں انھیں دھرانے کی بات کرتے ہو
جتنی چاہت چاہو گے ہم کریں گے تم سے
پھر بینا سے آزمانے کی بات کیوں کرتے ہو
انکھیوں میں تمھیں چھپا کے
پرستان تمھیں لے جا کے
رکھیں گے اپنا بنا کے
سنگ ہونگے نکاح سے
ہم اللہ کو گواہ بنا کے
خوشیاں منا کے
گھر تم سے بسا کے
چاند کی ٹھنڈک میں
مدھم مدھم روشنی میں
ہلکی ہلکی بارش میں
روپہلی دھوپ سنہری میں
ہولے ہولے دل ڈھڑ کتے
دھیرے دھیرے سانس چلتے
چاہت میں ڈوبے ڈوبے
اک دوسرے سے پیار کرتے
آپ کی شہد سی میٹھی باتوں میں کھوئے رہیں گے
بینا آپ کے ہوکے ہم آپ کے ہی ہوئے رہیں گے






