Har Aankh Me Behty Huay Ashkoon Ki Lari Hay
Chup Reh Mery Hamwatan, Qiyamat Ki Ghari Hay
Hota Hai ...Kuch Gumaa Sa Maidaan-E-Hashar Ka
Har Aik Musalman Ko Apni Hi Pari Hay
Mit Jaay Mera Dais Ye Haalaat Bana Kar
Atraaf Ki Har Qom Tamashay Pe Khari Hay
Phir Surkh Surkh Hai Mery Daryaon Ka Pani
Lagta Hai Kaheen Khon Ki Barsaat Pari Hay
Yaa Rab Yeh Gaya Saal Na Phir Loat Kar Aay
Yadain Sabhi Talkh Hain Toh Iis Say Juri Hay
Kahin Baap Ashkbar K Baita Nahi Milta
Kahin Baiti Hay Muntazir, Baba K Deed K
Kahin Suhag Ka Rona Kahin Haalaat Ki Shiddat
Rishton Ka Takadus Na Lahoo May Woh Hiddat
Darindagi Barpa Hay Mairay Dais May Har Sou
Khushion Ka Moyassar Nahi Ik Pal Mairay Moula
Aasar-E-Hashr Hain Yah Kayamat Ki Ghari Hay
Har Ankh Tairay Agay Ashkbar Khari Hay
Maafi K Talabgar Hain Tou Bakhsh Day Hum Ko
Na Samajh Hain Toh Thori Si Samajh Day Hum Ko
Khushion Say Bhara Abke Naya Saal Day Hum Ko
Darakhtoon Pay Chahaktay Parindo Ki Ho Mahfil
Aangan May Khailtay Hoay Bachhon Ki Sada Ho
School May Bachchon Ko Koi Khauf Bhi Na Ho
Bazar Ko Jatay Koi Dar Bhi Na Ho Dil May
Ho Amn Ka Mahool Maray Saray Watan May
Kamzoor Hain Saray Tairay Banday Mairay Maula
Bari Sakht Imtahan Ki Ghari Aan Pari Hay
Hay Dast-E-Dua Buland, Tairay Darbar May Malik
Larzan Hain Nutq-O-Lab Ankhoon May Nami Hay
Yeh Naya Saal Ho Pur Amn Ameen Ya Kareem
Toh Daita Hay Kab Tairay Khazanoo May Kami Hay