Add Poetry

Yaadein

Poet: Ayub Dilber By: Ayub Dilber, Kupwara Srinagar

Gaye Wo Din Ki Honton Pe Tabassum Phail Jata Tha
Raqs Karti Thi Har Maasoom Chehray Pe Haseen Lali
Sulati Thi Sunakay Lori Maayein Apnay Bachchon Ko
Bharay Sawan Mein Lailayen Piya Kay Geet Gati Thein
Diwanoo Mein Jo Chhidti Thi Niyaz O Raaz Ki Batein
Kabhi Jo Beech Mei Chalti Thi Baatein Maang Bharne Ki
Mukhatib Ho Kay Aashiq Apni Mehbooba Say Kehta Tha
Tumharay Wastay Mein Chaand Taray Toad Lawoon Ga
Tumhari Maang Jane Jaan Mein Taaroon Saz Sajawoon Ga
Meray Mehboob Meri Jaan Lekin Ab Ye Halat Hai
Muqayyad Pabjolaan Hein Haseen Lamhe Haseen Sapney
Wo Lori Ban Mein Badli Hai Aur Wo Geet Gayab Hein
Pari Chehroon Se Hein Yeksar Rawan Aansoo Dawan Aansoo
Ki Janam Tum Bhi Murda Ho
Ki Janam Mein Bhi Murda Hoon
 

Rate it:
Views: 487
22 Nov, 2011
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets