Zakhm-E-Tanhai
Poet: wasi $h@h By: $h@h jI, karachiZakhm-E-Tanhai Main Khushbo-E-Hina Kis Ki Thi
 Saaya Diwar Par Tha Saba Kis Ki Thi
 
 Us Ki Raftar Se Lipti Ankhen Meri
  Us Ne Murr Kar Bhi Na Dekha Ke Wafa Kis Ki Thi
 
 Aassuon Se Hi Bhar Gaya Daaman Mera
 Hath To Maine Utthaye Thay Dua Kis Ki Thi
 
 Meri Aahon Ki Zubaan Koi Samjhta Kaise
 Zindagi Itni Dukki Mere Siwa Kis Ki Thi
 
 Aag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar Mera"Wasi"
 De Gaye Kis Ko Saza Aur Khataa Kis Ki Thi
More Sad Poetry






