Zara Sa Tu Sambhal Ke Chal Ye Wehshaton Ka Dour Hai
Sabko Hai Bas Apni Hi Dhun Ye Siyaasaton Ka Dour Hai
Zara Sa Dab Gaya To Phir Daba Hi Reh Jaayega
Ho Khada Aur Tu Bhi Chal Ye Huqumaton Ka Dour Hai
Jagha Jagha Dhokadhadi Faraib Hain Nighahein Sab
Mujhe Nahi Lagta Ke Ye Mohabbaton Ka Dour Hai
Jise Bhi Dekhta Hoon Wo Hai Apne Aap Mai Magan
Mujhe To Lag Raha Hai Ye Tijaraton Ka Dour Hai
Tujhe Hai Usey Dosti Ye Fehmiyan Galat Teri
Kuch Tujhse Kaam Hoga Usey Ye Matlabon Ka Dour Hai
Badal Raha Hai Waqt Saath Saath Aadmi
Koi Likh Raha Hai Dastaan Ye Nasihaton Ka Dour Hai
Mujhe To Ye Sab Ke Sab Lagte Hain Mere Jaise Hi
To Kis Liye Phirr Shahr Mai Ye Dehshaton Ka Dour Hai
Matlab-Parashtiyon Bhara Matlab Bhara Ye Karwan
Matlab Ke Chaar Dost Hain Zaruraton Ka Dour Hai
Badnaam Mere Shahr Ki Aab-O-Hawaaein Ho Gayi
Koi Roz Bolta Tha Ke Ye Hifazaton Ka Dour Hai
Hewaaniyat Dil Mai Liye Har Simt Ghoomta Hai Wo
Mehfooz Koi Hai Nahi Ye Bagawaton Ka Dour Hai
Ae "Shams" Ye Tere Shahr Ko Hai Aaj Kal Kya Ho Gaya
Maine Suna Hai Kuch Youn Ke Ye Dalawaton Ka Dour Hai