Gunaahun Se Bhari Dunya May Peda Kar Diya Mujhko
Mere Khaliq Mere Malik Ye Kesa Ghar Diya Mujhko
Taqadduss Ki Tarap Dil May Tu Ankho May Haya Rakhi
Magar In Khuwahishon Ke Sath Daaman Tarr Dia Mujh Ko
In Hi Azdaad May Gar Zindagi Meri Guzarni Thi
Na Kiyon Aqal-O-Danaayi Se Khali Kar Diya Mujhko
Misaal-E-Sang Beher-E-Sayi Paihum May Para Rehta
Na Kuch Parwah Hoti Pas Rehta Ya Juda Rehta
Lurhakna Hi Tha Qismat May Tu Behoshi Bhi Di Hoti
Na Ehsas E Wafa Rehta Na Pas E Ashna Rehta
Magar Ye Kia Mere Hath Payon Bandh Kar Tu Nay
Laga Di Aag Or Waqf E Tamana Kar Diya Mujhko