Add Poetry

درد

Poet: Parveen By: Fizza Mansoor, karachi

Dard Bhi Deta Hai Aur Phir Dawa Bhi Karta Hai
Woh Haq Parast Hai Lekin Jafa Bhi Karta Hai

Mujhko Jab Bhi Woh Jagne Ki Saza Deta Hai
To Sang Jaag K Mujh Se Wafa Bhi Karta Hai

Us Se Behtar To Koi Janta Nahi Mujh Ko
Par Wohi Shakhs Mujhko Khafa Bhi Karta Hai

Hazaar Minnate Karta Hai Har Kasoor K Baad
K Chand Roz Me Phir Woh Khata Bhi Karta Hai

Kasoor Uska Nahi Hai Us K Mizaaj Ka Hai
Mujhse Akhir Mohabbat Bepnah Bhi Karta Hai

Ulajh K Mujhse Sada Dard Hi Deta Hai Mujhe
Aur Phir Mujhe Woh Shadma bhi Karta Hai

Rate it:
Views: 852
30 Jul, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets