Nahi Mumkin Ma Zinda Rahon Tum Se Juda Hu Kar
Rahon Ga Tere Qadmoon May Hamesha Khaak-Pa Hu Kar
Ju Apni Jaan Se Bezaar Hu Pehle Hi Ay Jaanan
Tumhay Kia Fayeda Hu Ga Bhala Us Per Khafa Hu Kar
Hamesha Nafs-E-Amaara Ki Baagein Thaam Kay Rakhiyo
Gira De Ga Ye Sarkash Warna Tum Ko Seekh Pa Hu Kar
Ilaaj E Ashiq Maztar Nahi Hay Koi Dunya May
Usay Ho Gi Rahat Muyasar Tu Fanaa Hu Kar
Khuda Shahid Hay Is Ki Raah May Marnay Ki Khuwahish May
Mera Her Zarra Tan Jhuk Raha Hay Iltija Hu Kar
Phir Esi Kuch Nahi Parwah Kay Dukh Hu Ya Rahat Hu
Raho Dil May Mere Gar Tum Umar Bhar Muddua Hu Kar
Meri Halat Pe Janaan Rehem Aye Ga Na Kia Tum Ko
Akela Chor Do Gay Mujh Ko Kia Bawafa Hu Kar
Kahan Hen Maani O Behzad Dekhein Fan E Muhammad (SAW) Ko
Dikhaya Kesi Khoobi Se Maseel E Mustafa Hu Kar