Add Poetry

Kabhi Idhar Se Kabhi Udhar Se

Poet: badar badauni By: badar badauni, badaun

Kabhi Idhar Se Kabhi Udhar Se Dekh Lo
Jalte Huye Urdu Ko Har Taraf Se Dekh Lo

Siyaasat Ka Panja Bhi He Meri Pusht Par Lekin
Mein Keh To Deta Hun Sar E Aam Dekh Lo

Taqat Ki Jung Chidi He Kuch Hathiyon Ke Beech
Aur Marte Huye Isme Sabhi Kamzor Dekh Lo

Andhero Ka Raaj He Mere Bhi Sheher Mein
Tum Seher Ko Utho Fir Ek Shaam Dekh Lo

Patton Ki Tarah Bikhre Hum Ek Gol Meyz Par
Aur Chaar Juyari Tum Se Khelte Hen Dekh Lo

Har Bhai Haq Barabar He Baap Ki Zamin Mein
Aur Ladte Huye Hind Mein Bhai Bhai Dekh Lo

Do Maao'n Ne Ki He Badar Ki Parwarish
Ek Ke Sar Par He Jannat Kashmir Dekh Lo
 

Rate it:
Views: 729
09 Sep, 2015
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets