Add Poetry

Mit'ta Hai Mitaye Se Ab Shoq Kahin Tera

Poet: Hasrat Mohani By: Rainy Eyes, Kotri Kabir

Mit'ta Hai Mitaye Se Ab Shoq Kahin Tera
Hai Paish_E_Nazar Har Dam Husan_E_Namkeen Tera

Aye Qasr_E_Imart Ki Veerani_O_Barbadi
Kis Gosha_E_Ibrat Mein Sota Hai Makeen Tera

Aankhon Ke Tabasum Ne Khol Diya Parda
Hum Par Na Chala Jadu Aye Cheen_E_Jabeen Tera

Juz Kasrt_E_Mehromi Juz Ghayat_E_Dilgeeri
Monas Na Huwa Koi Aye Jaan_E_Hazeen Tera

Tha Shehr Wo Kiya? Aisa Taseer Mohabbat Ka
Parhty Hain Jo Sab Kalma, Aye Dushman_E_Deen Tera

Jis Noor Se Roshan Hai Jaan_O_Dil_E_Mushaqa'n
Shayed Wo Taswur Hai Aye Maah_E_Jabeen Tera

Marghoob Tamana Hai Mehbob_E_Dil_O_Jaan Hai
Har Wazah Jafa Tera Har Shaiwah_E_Keen Tera

Hum Khoob Samjhy Hain HASRAT Se Teri Baatein
Iqrar Ka Pardah Hai Inkar Nahi Tera

Rate it:
Views: 313
02 Mar, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets