Add Poetry

Mujh ko Rulaaney Aayaa Hai, Phir December Aayaa Hai

Poet: Neelam (parii) By: Neelam, Lahore

Suno!
December kii Thandii Raatoon Mein
Hum Choup Choup Baaten kartey They
Phir Ghanton Beth k Hanstey They
Aik Doujey k Dil Mein Bastey They
Pichle Saal December Mein
Terey Teewar Badley Badley They
Mein Har Waqt Sochtii Rehtii Thee
Ab Kuch To Honey Walaa Hai
Kuch To Khoney Walaa Hai
Dil ko Beth k Samjhatii Thee
December Jaaney Wala Hai
Jaatey Jaatey December Ney
Mujh Sey Sab Kuch Cheen Liaa
Aankhon ko Rat-Jagey Diye
Aahen, Aansu, Zakham Diye
Jaatey Jaatey December Mein
Tum Bhi Mujh Sey Routh Gaey
Tum Bhi Mujh Ko Chor Gaey
Tum Bhi Mujh ko Tor Gaey
Dekho!
Phir December Aayaa Hai
Dard Puraaney Jaagey Hain
Zakhmon ko Sulayaa Thaa
Wo Phir Jaganey Aayaa Hai
Dekho!
Phir December Aayaa Hai
Yaaden Saarii Tarpii Hain
Mein Ne Tum Ko khoyaa Thaa
Mujh Ko Rulaney Aayaa Hai
Phir December Aayaa Hai

Rate it:
Views: 388
10 May, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets