Add Poetry

Raqeeb Se

Poet: Faiz Ahmad Faiz By: Muhammad Nawaz, sanglahill

Aa Keh Wabasta Hain Uss Husn Ki Yaadain Tujh Se
Jis Ne Iss Dil Ko Parikhana Bana Rakha Tha
Jis Ki Ulfat Main Bhula Rakhi Thi Duniya Hum Ne
Dehar Ko Dehar Ka Afsana Bana Rakha Tha

Ashna Hain Teray Qadmon Se Wo Rahain Jin Per
Usski Madhosh Jawani Ne Inayat Ki Hai
Karwaan Guzray Hain Ji Se Ussi Raanai Ke
Jis Ki Inn Aankhon Ne Besood Ibaadat Ki Hai

Tujh Se Kheli Hain Wo Mehboob Hawain Jin Main
Uske Malboos Ki Afsurda Behak Baaqi Hai
Tujh Pe Bhi Barsa Hai Uss Baam Se Mehtaab Ka Noor
Jis Main Beeti Hui Raaton Ki Kasak Baaqi Hai

Tu Ne Dekhi Hai Wo Peshaani,Wo Rukhsaar,Wo Hont
Zindgi Jin Ke Tasawwar Main Luta Di Hum Ne
Tujh Pe Uthi Hain Wo Khoi Hui Saahar Aankhain
Tujh Ko Maaloom Hai Kiyoon Umr Luta Di Hum Ne

Hum Pe Mushtarka Hain Ahsaan Gham E Ulfat Ke
Itnay Ahsaan Ke Ginwaoon Tu Ginwaa Na Sakoon
Hum Ne Iss Ishq Main Kya Khoya Hai,Kya Seekha Hai
Juz Teray Aur Ko Samjhaoon Tu Samjha Na Sakoon

Aajzi Seekhi,Ghareebon Ki Himaya Seekhi
Yaas O Harmaan Ke,Dukh Dard Ke Maani Seekhay
Zer Daston Ke Musaaib Ko Samjhna Seekha
Sard Aahon Ke,Rukh E Zard Ke Maani Seekhay

Jab Kahin Baith Ke Rotay Hain Wo Bekas ,Jin Ke
Ashk Aankhon Main Bilaktay Huway So Jaatay Hain
Natwaanon Ke Nawaalon Pe Jhaptatay Hain Uqaab
Baazoo Tolay Huway ,Mundhlaatay Huway Aatay Hain

Jab Kabhi Bikta Hai Bazaar Main Mazdoor Ka Gosht
Shahraahon Pe Ghareebon Ka Lahoo Behta Hai
Aag Si Seenay Main Reh Reh Ke Ubalti Hai Naa Poochh
Apnay Dil Per Mujhay Qaboo Hi Nhin Rehta Hai

Rate it:
Views: 2617
28 Sep, 2010
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets