Aankh

Poet: sani By: m abbas, Raiwind

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jayega

Itana Maanoos Na Ho Khilvat-E-Gam Se Apni
Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhegaa To Dar Jayega

Tum Sar-E-Raah-E-Wafa Dekhate Reh Jaaoge
Aur Wo Baam-E-Rafaqat Se Utar Jayega

Zindagi Teri Ataa Hai To Ye Janevala
Teri Bakhshish Teri Dehaliz Pe Dhar Jayega

Doobate Doobate Kashti To Ochhala De Don
Main Nahin Koi To Saahil Pe Utar Jayega

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayaamat Ka Faraz
Zaalim Ab K Bhi Na Royega To Mar Jayega

Rate it:
Views: 1535
24 Feb, 2008