Add Poetry

Aansu Aa Jatey Hein Ankhon

Poet: Ubaid Freindz By: Muhammad Ubaid, KARACHI

Aansu Aa Jatey Hein Ankhon Mein Roney Se Pahle
Har Khwab Tut Jata Hai Sone Se Pehle

Ishq Hai Gunah Ye To Samaj Ge
Kash Koi Rok Leta Hone Se Pehle

Udas Nazron Mein Khwab Miley Gein
Kahin Kaantey To Kahi Phool Khiley Gein

Mere Dil Ki Kitabo Ko Apni Nazron Se Par Kar Dekho
Kahin Apki Yaadien To Kahin Aap Miley Gein

Gham Ne Hasney Na Diya Tammana Ne Roney Na Diya
Is Ilzam Ne Sakun Se Jeene Na Diya

Thak Ke Sitaron Se Panah Lii
Neend Ayi To Tere Yaddon Ne Soney Na Diya

Jiski Aarzoo Thi Wo Dilbar Na Mila
Barsoo Jiska Intezar Kiya Woh Phir Na Mila

Ajib Khel Hai Ye Muhaabat Ka
Kisi Ko Hum Na Miley To Koi Humko Na Mila

Bikhrey Aashqon Ke Moti Piro Na Sake
Tumhari Yaad Mein Saari Raat So Na Sake

Bhig Na Jaye Aankhon Mein Basi Tumhari Tasveer
Ye Soch Kar Ek Pal Bhi Ro Na Sakey

Taqdeer Unki Jo Humney Azmai Bathi Hai
Aye Hein Mehfil Mein Magar Dur Ja Kar Baithe Hein

Nazron Se Mili Nazar To Baat Ho Ubaid
Afsos Ki Wo Nazar Jhuka Kar Baithey Hein

Rate it:
Views: 527
09 Nov, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets