Aaye Ho Itni Raat Gaye Kewoon Hamaray Pass
Pichhla Pehar Guzara Hay Tum Bin Bada Udaas
Uljhee Hay Kewoon Yeh Zulf-E Parishan Na Poochhiye
Hum Kya Bataein Kuchh Bhi Nahi Baat Koee Khaas
Muddat Ke Ba'ad Aaye Nazar Ke Woh Saamnay
Heraniyoun Mein Hosh Raha Na Rahay Hawaas
Sari Umar Usooloun Peh Kerta Raha Gumaa
Woh Shukhs Kaash Hota Zra Bhi Nazar Shanaas
Khushyan Jo Dhoondhtay Hein Kissi Dil Ko Tod Ker
Phir Zindagi Unhain Bhi Tou Aati Nahi Hay Raas
Chahat Tou Ik Fareb-E Nazar Hay Sanbhal Ke Chal
Kaghaz Ke Phool Detay Nahi Hein Kabhi Bhi Baas
Terk-E Ta'alluqaat Se Sabat Hain Silsilay
Pani Rahay Jou Door Tou Badhti Hay Aur Pyaas