Ab Bhii Har December Main
Mujhse Pochte Hain Log
Kis Liye December Main
Yun Odaas Rehta Hon
Koi Dukh Chupata Hon
Ya Kisi K Jane Ka
Soug Phir Manata Hon
Ap Mere Album Ka Safa Safa Dekhen Ge
Aaye Dekhata Hoon Zaabt Aazmata Hon
Sardiyon K Mousam Main Garm Garm Coffee K
Chote Chote Sip Le Kar
Koi Mujhse Kehta Tha
Haye Is December Main Kis Bala Ki Sardi Hay
Kitna Thanda Mousam Hay
Kitni Yakh Hawayen Hain
Ap Bhii Ajab Shey Hain
Itni Sakht Sardii Main Ho K Itne Beparwa
Jeans Or T-Shirt Main Kis Maze Se Phirte Hain
Shaal Bhii Mujhe De Dii
Cout Bhii Orha Dala
Phir Bhii Kampti Hon Main
Chaliye Ab Sharafat Se
Pehan Lijye Sweater
Ap K Liye Maine, Bun Liya Tha Do Din Main
Kitna Maan Tha Osko Mere Apni Chahat Par
Ab Bhii Har December Main
Oski Yaad Aati Hay
Garam Garam Coffee K Chote Chote Sip Lete
Hath Gal Par Rakhe Herat O Taajub Se
Mujh Ko Dekhti Rehti Or Muskura Deti
Shookh O Shang Lehje Main Mujhse Phir Woh Kehti Thii
Itne Saard Mousam Main Aadhii Sleeve Ki T-Shirt
*"Male Chauvinism" Hay
Is Qadar Na Itrayen Seedhe Seedhe Ghar Jayen
Ab Ki Baar Jab Ayen
Black Trouser K Sath, Black High Neck Pehne
Cout Dhang Ka Le Len
Warna Main Qasam Se Phir Aese Rooth Jaongii
Samne Na Aaongii
Dhondte Hi Rahiyee Ga!
Pass Bethe Abbu K App Sunte Rahiye Ga
Tabsare Siyasat (Politics) Par
Coffe Le Kar Kamre Main Tou Phir Na Main Aaongii
Khali Khali Nazroon Se App In Khalaon Main
Yunhii Takte Rahiyee Ga
Or Bekhayali Par Dant Khate Rahiye Ga
Kitni Mukhtalif Thii Woh
Sab Se Munfarid Thii Woh
Apni Ik Laghzish Se
Maine Khoo Diya Os Ko
Ab Bhii Har December Main
Oski Yaad Aati Hay
Sardiyon K Mousam Main
Garam Garam Coffee K
Chote Chote Sip Letii
Hath Gaal Par Rakhe
Herat O Taajub Se
Mujh Ko Dekhtii Rehtii Thii
Ab Har December Main Os Ki Yaad Aati Hay