Add Poetry

Ab Dard Yeh Aur Uthaya Nahi Jata

Poet: S.sadia amber jilani By: Syeda sadia amber jilani, Faisalabad, Punjab, Pakistan.

Ab Dard Yeh Aur Uthaya Nahi Jata
Bhool K Bhi Tujhay Bholaya Nahi Jata

Tum Kia Sakhi Ho Kia Naasayh Ho Tum
Tum Say Tu Koi Routha Manaya Nahi Jata

Ho Jati Hai Uss Wakat Muhabat Muflis
Piyma Jab Koi Nibhaya Nahi Jata

Ankho'n Say Jaan Letay Hain Log Hakeekat
Qissa Tu Har Aik Ko Sunaya Nahi Jata

Utar Phanken Gay Kisi Roz Libada Tera
Zindagi Boujh Tera Aur Uthaya Nahi Jata

Kab Talak Main Khush Fehmi Mein Rahun
Khud Ko Ab Aur Banaya Nahi Jata

Jazbat Ko Parrh Letay Hain Ahsaas Aksir
Jazba Har Aik Bataya Nhi Jata

Khuda Parsat Ahel-E-Zarf Say Suno
Dil Kabhi Koi Rulaya Nahi Jata

Najanay Sabar Hai Mera Ya Be-Zabat Amber
Ab Tu Ansoo Bhi Koi Bahaya Nahi Jata
 

Rate it:
Views: 511
15 Jan, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets