Dil Main Guzray Huway Lamhaat Ki Yaadain Lay Ker
Wahan Chala Hoon Jahan Manzilon Ka Naam Nhin
Ab Mera Intizaar Na Kerna
Jab Kabhi Chaand Ki Kirnon Ko Dekhnay Niklo
Jab Kabhi Zulf E Pareeshan Ko Hawain Choomain
Jab Kabhi Aay Teri Aankh Main Ashkon Ka Toofaan
Jab Kabhi Dil Ke Gulistaan Main Kaliyaan Mehkain
Tu Apni Shokh Adaaon Main Udaasi Bhar Ke
Yaad E Maazi Ki Tarah Mera Tasawwar Karna
Keh Gai Saatain Phir Laot Ker Nhin Aateen
Teray Sonay Ke Dareechay Tujhay Mubarak Hon
Main Tu Zarra Hoon Kisi Rah Main Bhi Jee Loon Ga
Wo Koi Aur Tha Jo Tujh Se Milnay Aata Tha
Tum Ye Samjho Mera Wajood Kabhi Tha Hi Nhin
Na Manzilain,Na Sang E Meel,Na Shajr,Na Aaraam
Main Wahan Hoon Ke Jahan Koi Raasta Hi Nhin
Ab Mera Intizaar Na Kerna