Abhi Ehsas Hi Paida Hua He Unki Ulfat Ka
Abhi Dil Me Koi Khaka Nahi Unki Muhabbat Ka
Abhi Tak Parde Parde Me Hmara Milna Julna He
Abhi Dekha Nahi He Husn Bhi Chehre Ki Nudrat Ka
Wo Kala Burqa'aa Chehre Pe Jaise Chand Par Badal
Tamaskhur Kar Raha He Husn Bhi Parde Ki Zulmat Ka
Har Ek Shay Yun Zameen O Asman Me Mahw E Hairat He
K Kaisa Mojza Usme He Pinha Rab Ki Qudrat Ka
Wo Un K Husn E Lasani Ka Yarab Shukriya Lekin
Mujhe Har Su Rulata He Wo Gham Ashiq Ki Kasrat Ka
Muhazzab Si Pari Nazuk Kali He Wo Dil E Jana
Tasadum Dil Me Rehta He Sada Ulfat W Azmat Ka
Bata Tu Falsafa He Mojiza He Hoor He Kya He
Dua He Ya Dawa He Ya Khulasa Meri Qismat Ke
Mai Parwana Hun Tu Sham'aa Mai Baonwra Tu Kali Si He
Mujhe Fr Khof Q Ho Tu Bata Tuhmat Pe Tuhmat Ka
Ilahi Wo Mujhe Dede Ya Usko Door Hi Kar De
Kahin Mera Fasana Ban Na Jaye Dars Ibrat Ka
Meri Ye Shayeri Un Par Wo Unka Muskura Dena
Bahana Ban Rahe Hen Yar Ye Faisal Ki Shohrat Ka