A Kisi Sham Yaad Ki Dehleez Pe A
Umer Guzri Hai Tujy Dekhy Hoye Manaye Hoye
Yaad Hai
Hum Tujhy Dil Mantay Thay
Apnay Dil Mai Machalta Hoa Zidi Bacha
Tere Har Naaz Ko Ungli Se Pakar Kar Aksar
Nit Nahay Khowab K Bazar Mai Le Jatay Thay
Tere Har Nakhray Ki Farmaish Per
Ik Jewan Ki Tamano.On Ki Benaie Se Hum Thaktay Hi Na Thay
Sochtay Thay
Ik Chota Sa Naya Ghar
Naya Mahool
Muhabbat Ki Fiza
Hum Donoon
Or Kisi Baat Per Takiyoon Se Laraie Apni
Phir Laraie Mai Kabhi Hasty Hoye Ro Parna
Or Thak Har K Gir Parnay Ka Masoom Khushi Bakhsh Khayal
Yaad Hai
Hum Tujhay Sukh Jantay Thay
Rat Hans Parti Thi Besakhta Darshan Se Tere
Yaad Hai
Hum Tujhay Jan Kehtay Thay
Tere Khamoshi Se Hum Mar Jatay
Tere Awaz Se Jee Uthtay Thay
Tujh Ko Cho Lene Se Zindagi C A Jati The Shiryano Mai
Tham Lene Se Koi Shair Sa Bas Jata Tha Veranoon Mai
Yaad Hai
Hum Tujhy Milne K Liye
Waqt Se Pehly Ponch Jaty Thy
Or Mulaqat K Baad
Hum Deer Se Ghar Atay To Kehty Humien Kuch Na Kaho
Hum Buhat Door Se Ghar Aye Hain
Is Qadar Door Se Aye Hain K Shayad Hi Koi A Paya Hai
Yaad Hai
Hum Tujhay Bagwan Samjtay Thay
Magar Kufrr Se Dar Jatay Thay
Tere Chinn Jany Ka Dar Theek Se Rakhta Tha Musalmaan Humien
A Kisi Sham Kisi Yaad Ki Dehleez Pe A
Tere Bhooly Hoye Raston Pe Humien Liye Phirta Hai Emaan Humien
Or Kehta Hai K Pehchan Humien
Yaad Hai
Hum Tujhy Emaan Kehtay Thay