Aisa Maktib Bhi Koi Banaya Jaye
Saleeka Muhabat Ka Jaha'n Seekhaya Jaye
Kis Qadar Talakh Hai Muhabat Mein Dhoka Khana
Tum Kehtay Ho Ab Bhi Muskuraya Jaye
Zabat Nay Sanmbhal Rakha Hai Aankh Ka Pani
Kab Talak Magar Khud Ko Aazmaya Jaye
Bhatkay Teri Gali K Kaha'n Tak Pohanchay
Haal Un Ka Bhi Zara Sunaya Jaye
Acha Lagta Hai Tere Dast-E-Dua Mein Rehna
Magar Yeh Kiya K Ujaarr Kar Basaya Jaye
Kiya Yeh Mumkin Nahi Ay Dost K Ab Bhi
Routhi Baharo'n Ko Phir Manaya Jaye
Nakabal-E-Mafi Hai Juram Bewafai Ka Magar
Ussay Bhoolanay Ka Koi Gur Bhi Bataya Jaye
Dill Hai Muser Ab Bhi Issi Par Amber
Chaha Jaye Ussay Apna Banaya Jaye