Kal Raat Tumhaari Yaad Aatee Rahi
Mere Masoom Dil Ko Gudgudati Rahi
Bachpan Ki Tarah Kahaaniyaan Sunaati Rahi
Paryon Ke Desh Men Lejaati Rahi
Magr Achaanak Haspataal Ka Manzaraagaya
Bister Pe Leta Tumhaaraa Wajood Nazar Aagayaa
Tumhaaraa Woh Haath Jo Sooyon Se Chalni Ho Gaya Tha
Kaheen Surkh Kaheen Siyaah Ho Gayaa Tha
Ye Woh Sahaaraa Tha Jis Ne Mujhe Chalna Sikhaayaa Tha
Jab Bhi Gira Main Aage Badh Kar Uthaayaa Tha
Jab Us Ko Chubhoyaa Jaataa Tha,
Mera Kalejaa Moonh Ko Aajaata Tha
Aah Bhar Ke Dard Ki Shiddat Se Tum Apni Palkon Ko Jhuka Leti Thi
Mujhe Dekh Kar Kankhiyon Se Thoda Thuda Muskura Deti Thi
Tumhaari Takleef Mujhe Gamgeen Nakar De
Mere Aansoo Tumhen Mayoos Na Kar De
Isi Liye Tum Muskuraati Thi
Isi Liye Main Muskuraataa Tha