Andhair Nagri Main Bhi Chand Nikalta He
Kabhi Khahishon Or Tmanaon Ki Aarzoo Hoti He
Kabhi Aasman Aansu Bahata He
Kabhi Tishnagi Si Dil Main Jagti He
Kabhi Yaqeen Par Phrata He
Kabhi Rasm-E-Dunia Ki Khater
Khud Ko Jhukana Parrta He
Kabhi Be Rabt Si Lagti Hain Ye Wafa Ki Rahain
Kabhi Aankhon Mainkajol Ki Siyah Dhar Si Chubhti He
Kabhi Dil Khub Hansta He
Kabhi Rooth Jata He
Kabhi Rah Mushkil Lagti He
Kabhi Be Taab Lagti He
Kabhi Janun Bharrta He
Kabhi Masoom Lagti He
Kabhi Hal Chal Si Hoti He
Kabhi Raaz Khulta He
Be Chani Ye Bharrti He
Kabhi Khwaab Ruswa Hoty Hain
Kabhi Chandni Mehekti He
Andhair Nagri Main Chand Nikalta He
Laikin Ye Laaj Rakhta He
Aansu Chupa Laita He
Apni Siyaah Qismat Ko
Ruswa Nahi Karta