Anjaam Se Pahle
Poet: Amjad By: Adil, haripurLabon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
 Dilon Ke Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle
 
 Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
 Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle
 
 Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
 Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle
 
 Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut.Te Honge
 Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle
 
 Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
 Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle
 
 Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad Ihtiyatan Ham
 Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle
More Love / Romantic Poetry






