Apnay Aap Say Bhala Adawat Kon Karta
Bas Mein Hota Tu Muhabat Kon Karta
Kon Jalta Taaro'n Ki Khanak Chaao'n Mein
Tapti Dhoup K Sehra Mein Musaafat Kon Karta
Humaray Zaraf Ki Yehi Daleel Kafi Hai
Dill-O-Jaan Ki Tum Pay Sakhawat Kon Karta
Tumhi Ko Zaib Deta Hai Yeh Andaz-E-Bewafai Bhi
Tum Naa Kartay Jo Aisi Rakabat Kon Karta
Hum Bhi Bhool Jatay Gar Pas-E-Wafaa Amber
Wafaa Ki Qaim Muhabat Mein Rawayet Kon Karta