Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chera Na Bana
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Kilona Na Bana
Saikaron Raste Hain Ajnabi Ho Jane Ke
Tark Karna Hai Talook Ka Bahana Bana
Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Booja Deta Hai
Muhje Insaan Samja Khud Ko Firishta Na Bana
Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basii Rehne De
Iss Mehakte Hoay Gulzar Ko Sehra Na Bana
Mein Tu Pehle Hi Zakhum Lie Phirta Hoon
Muhje Ab Shehar Dard-E-Tamsha Na Bana
Thak Gaya Hain Mere Ehsaas Ki Aakhaein Salman
Nqash-E-Deewar Per Ab Koi Afsana Na Bana