Add Poetry

Baat Karanii Mujhe Mushkil

Poet: Bahadur Shah Zafar By: Uzair Mushtaq, lahore, pak

Baat Karanii Mujhe Mushkil Kabhii Aisii To Na Thii
Jaisii Ab Hai Terii Mahafil Kabhii Aisii To Na Thii

Le Gayaa Chhiin Ke Kaun Aaj Teraa Sabr-O-Qarar
Beqaraarii Tujhe Ai Dil Kabhii Aisii To Na Thii

Chashm-E-Qaatil Merii Dushman Thii Hameshaa Lekin
Jaise Ab Ho Ga_Ii Qaatil Kabhii Aisii To Na Thii

Un Kii Aa.Nkho.N Ne Khudaa Jaane Kiyaa Kyaa Jaaduu
Ke Tabiiyat Merii Maa_Il Kabhii Aisii To Na Thii

Aks-E-Rukh-E-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamakaayaa
Taab Tujh Me.N Maah-E-Kaamil Kabhii Aisii To Na Thii

Kyaa Sabab Tuu Jo Biga.Dataa Hai "Zafar" Se Har Baar
Khuu Terii Huur-E-Shamaa_Il Kabhii Aisii To Na Thii

Rate it:
Views: 447
21 Aug, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets