Add Poetry

BAHANAY

Poet: HASEEB By: HASEEB, KARACHI

Mare Likhe Hue Lafz Bheeg Gaye Barishon K Bahany
Phir Woh Shama Bhi Bujh Gaye Hawaoon K Bahany

Gham Ye Nahi K Sirf Wohi Juda Hua Mujhse
Dukh Toh Ye K Baharain Rooth Gaye Khizaon K Bahany

Mujhe Toh Lagte Hai Sazish In Parindo Ki Bhi “Dosto”
Mujhe Dekhty He Jo Urh Gaye Fizaon K Bahany

Badly Hue Dekhty Hain Raat Ko Chand K Tevar Bhi
Mujhe Chat Pe Dekh Kar Chup Gaya Badlon K Bahanay

Ab Toh Ikhtiar Nahi In Aakhoon Per Bhi , Haseeb
Bheeg Jati Hain Aksar Usy Bhulanay K Bahany
 

Rate it:
Views: 816
31 Dec, 2011
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets