Bazariya Dast O Peshani O Dil Salaam Krta Hun
Bara Adbi Sa Banda Hun Adab Se Kaam Krta Hun
Kisi Bhi Morh Pr Takraao Gr Hojaae Dushman Se
Mai Nafrat Kay Ivaz Pyar Apna Sub Nilaam Krta Hun
Bari Ek Khasiyat Hai Mujh Mai Aksr Khaas Baaton Ko
Mai Mamuli Se Lafzon Mai Mazaqan Aam Krta Hun
Savera E Musarrat Kay Faqt Didaar Ki Khaatir
Mai Apne Naam Khud Hee Dukh Bhari Hr Shaam Krta Hun
Ho Majnu Ki Tarha,N Shohrat Laqab Hojaey Divana
Sabab Yeh Hai Jo Apne Ishq Ko Nakaam Krta Hun
Sukoon O Neend Ko Haraam Se Halaal Krnay Tak
Bari Mehnat Se Ahsan Roz O Shab Aaraam Krta Hun