Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah
Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaahishain Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan-E-Be-Raffuu Ki Tarah
Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye
Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah
Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye
Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah
Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-E-Chaman
Mein Raaigaan Hee Sahi, Shaakh-E-Be-Namuu Ki Tarah
Gham-E-Jahan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha ?
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujuu Ki Tarah