Be-Parda Shaqs Hai Gherat Se Taro-Taza Hai
Jiski Surat Pe Gunhaai Ka Harf Likha Sa Hai
Bade Zaheen Hain Keechad Uchaalne Waale
Meri Galti Ka Ehsaas Mujhe Zara Sa Hai
Hogi Nilaam Kabhi Izzat Kisi Kooche Mai
Aane Waale Waqt Ka Ye Taqaza Hai
Ek Machis Ne Shahr Bhar Ko Aag De Di Hai
Bas Aalim Ka Ghar Hai Jo Bacha Sa Hai
Sar Pe Rehti Hai Topi To Kya Ye Zahir Hai
Khuda K Aage Wahi Sar Bas Jhuka Sa Hai
"Shams" Is Ahad Ka Har Shaqs Be-Imaan Hai Magar
Chehre Ke Piche Ek Aur Chehra Chupa Sa Hai