Khuab Muntazir Tere Hain
Neend Krwaton Mein Lipti Hai
Kae Pehar Yunhi Guzar Gae Hain
Chand Jhankta Hai Kbhi
Badal Yun Tou Bohat Gehre Hain
Jo Teri Rifaqat Ka Hasil Rahen
Un Sa'aton Ko Roz Ginte Hain
Roz Sochte Hain Jurm Apna
Roz Khud Ko Hi Koste Hain
Yeh Jo Razdar Si Hai Tanhai
Gale Lag K Hame Thapakti Hai
Sunati Hai Bholi Bisri Kahaniyan Sari
K Log Bichar Jaen Phir Bhi Milte Hain
Kuch Der Tou Tm Bhi So Lo
Kuch Der Ham Bhi Sote Hain
Umid Ankhon Pe Hath Rakh K
Hamen Nae Subha K Qise Sunati Hai
Dil Nashad Sab Ki Sunta Hai
Nae Din Mein Phir Tum Milo Ge
Yehi Sochta Hai
Hm Bhi Dabe Paon Tjhe Dhondhne
Nendon Mein Ja Utarte Hain
Ankhon Ki Chilmanon Mein Phir
Khuab Kahin Kismisate Hain
Phir Ankh Khulti Hai Ain Nisf Shab
Phir Teri Rah Mein Thak K Choor Yeh Sab Khuab Mere
Khamshi Se Bain Krne Lagte Hain
Khuab Muntazir Tere Hain
Bus Khuab Mein Hi Ajao
Mere Rat Jage Kehte Hain