Benam Sa Ye Dard Thahar Kyu Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyu Nahi Jata
Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab Main Udhar Kyu Nahi Jata
Sab Kuchh To Hai Kya Dhundhti Rahti Hain Nigahein
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyu Nahi Jata