Bhale Dino Ki Baat Hai
Bhali Si Ek Shaql Thi
Na Ye Ke Husn-E-Taam Ho
Na Dekhne Mai Aam Si
Na Ye Ke Wo Chale Tu Kehkashaan Si Rahguzar Lage
Magar Wo Sath Ho Tu Phir Bhala Bhala Safar Lage
Koi Bhi Rutt Ho, Uski Chabb
Fiza Ka Rang Roop Thi
Wo Garmiyon Ki Chaon Thi
Wo Sardiyon Ki Dhoop Thi
Na Mudatton Judaa Rahe
Na Saath Subah-O-Shaam Ho
Na Rishta-E-Wafa Pe Zid
Na Ye Ke Ez-E-Aam Ho
Na Esi Khush-Libasiyaan
Ke Saadgi Gila Kare
Na Itni Be-Taqalufi
Ke Aayena Haya Kare
Na Aashiqi Junoon Ki
Ke Zindagi Azaab Ho
Na Es Qadar Kathor Pun
Ke Dosti Khrab Ho
So, Ek Roz Kya Hua
Wafa Pe Behes Chirh Gayi
Mai Ishq Ko Amr Kahoon
Wo Meri Zid Se Chird Gayi
Mai Ishq Ka Aseer Tha
Wo Ishq Ko Qafas Kahe
Ke Umer Bhar Ke Sath Ko
Wo Bad-Tar Az Hiwas Kahe
Hijr Shajr Nahi Ke Hum
Hamesh Pa Ba Gul-E- Raahein
Na Dhor Hain Ke Rasiyaan
Gale Main Mustaqil Rahein
Mohabbaton Ki Wus’atein
Hamare Dast O Pa Mai Hain
Bas Ek Dar Se Hain Nisbatein
Sagaan-E- Bawafa Mai Hain
Tumhari Soch Jo Bhi Ho
Mai Es Mizaaj Ki Nahi
Mujhe Wafa Se Ber Hai
Ye Baat Aj Ki Nahi
Na Usko Mujhe Pe Maan Tha
Na Mujhe Ko Uspe Zu’am Tha
Jo Ehad He Koi Na Ho
Tu Kya Gham-E- Shikastagi
So Apna Apna Raasta
Hansi Khushi Badal Diya
Wo Apni Rah Chal Pari
Mai Apni Rah Chal Diya
Bhali Si Ek Shaqal Thi
Bhali Si Uski Dosti
Ab Uski Yaad Raat Din Nahi,
Magar Kabhi Kabhi